Intezaar Ke Palon Ko Behla Rahe Hai Hum Na Jane Kiske Lie
क़तार में खड़े है कब से हम ना जाने किस के लिए
बस यूँ ही उनकी दीद के लिए
इंतज़ार के पलों को बहला रहे है हम ना जाने किस के लिये
बस यूँ ही उनकी रब्त के लिये
मस्त-ए-ख़ाक को छान रहे है हम
बस यूँ ही उनकी दी अज़ियत से बचने के लिए
शोरीदा-ए-दिल रहता अब हमारा
बस यूँ ही हस्त-ओ-बस्त को मिटाने के लिए
किसी अंजान को अकेले बैठे देखते है जब हम
बस दूर ही रहते है हम उनसे दर्द सहने के लिए
एसे ही नहीं अंजान रास्तों पर अकेले चलते है हम
बस यूँ ही उनकी नज़रों मैं ख़ुद को सही साबित करने के लिए
फिर क़तार में खड़े है कब से हम ना जाने किस के लिएKatar me khade hai kab se hum na jane kiske liye
Bass yun hi unki deed ke lie
Intezaar ke palon ko behla rahe hai hum na jane kiske lie
Bass yun hi unki rabt ke lie
Must-e-khaak ko chaan rahe hai hum
Bass yun hi Unki di aziyat se bachne ke lie
Shoreeda-e-dil rehta ab hamara
Bass yun hi Hust-o-bust ko mitane ke lie
Kisi anjaan ko akele baithe dekhte hai jab hum
Bass door hi rehte hai hum unse dard sehne ke lie
Asie hi nahi anjaan raston par akele chalte hai hum
Bass yun hi unki nazron main
khud ko sahi sabit karne ke lie
Fir Katar main khade hai kab se hum
na jane kis ke lie….
To Read More Latest Sad Sher-O-Shayari In Hindi Like – Ghazal , Sad Poetry/ Heart Touching Sad Shayari , Sufi Poetry , Sad Quotes , Breakup Quotes , Breakup Ghazal , Narazgi Shayari , Yaad Shayari , Bewafa Shayari , Gham Shayari , Dard Shayari , Dokha Shayari , Tanhai Shayari , Judai Shayari etc…. Stay Connected With – Newsonline.media